Bharat Chodo Bhrashtachar ...
Karmoin ki dein hain zindagi,
Is se na lago dillagi.
Moksh pane ka rasta hai saral,
Kahi ho na jao tum us se Viral,
Karm karo aise,
Bhavishya tumhara fale fuloin jaise.
Hinsa na karo , na karo atyachar ,
palan karo shistachar , bharat chodo bhrastachar !
Bhrast hamara neta ,
wahi paise leta - deta,
aao lade hum sab ,
saath b dega ab rab.
Hinsa na karo , na karo atyachar ,
palan karo shistachar , bharat chodo bhrastachar !
Aafat mein hai ye rishtey ,
Behaal huye khudrat k farishtey.
Peedhi hai jo nayi,
Soch unki bikhar gayi,
Zindagi se bhatak gaye,
Raste mein latak gaye,
Paise ko samajte hai ek khel,
Sarkar se na hai koi mail,
Sudhar jao ab,
Dekh raha hai rab ,
Hinsa na karo , na karo atyachar ,
palan karo shistachar , bharat chodo bhrastachar !
@ Copyright :- Sandesh Mutha