Sunday 17 November 2013

Adios Amigos SRT

Cricket ka tu bhagwan
Bradman saa tu balwaan
Karte teri log hai puja
Tujsaa aur na koi duja
Ghumake k maara tune chauka
Bowlers ko diya nahi koi mauka
Tu bana shatak yantra
Tere saamne chale na koi tantra
Runoin ka lagaya ambaar
De raha desh tuje aabhaar
Yuva k liye tu hai guru
Cricket tujpe khatam tujse hi shuru
Teri kami bahot hai khalegi
Tuj bin wahi safalta shayad nahi milegi
Tu bana desh ki pehchaan
Khushiya dekar kia ek ehsaan
Adios amigos Mr Sachin

Wednesday 16 October 2013

Poem # A good friend

Tu meri frnd dear
Tujse muje na koi fear
Naam tera tamanna
Sabko bana le tu apna

Sundarta aisi hai chahi
Jaise tu uski parchai
kare ladke tuje propose
Ab na kar tu afsos
Keh de na tu sabhi ko
Dil mein jala de tu meri loh ( loh in hindi means diya )

Yahi kehta hu tuje abhi
Suno dosto aap sabhi
ye nibhaye sachi dosti
Aisi wo ek khubsurat hasti

Poem #Pritams birthday

school ka tu topper
dimag se tu white collar

english teri tight
future ho tera bright

jeete reh yuhi
party rakh kahi

bas itna hi sandesh
shubkamnaye deta poora desh

many many happy returns of the day

Poem # Sapna's Daughter

Mere ghar aayi ek nanhi pari
Surat aur seerat dono se khari

Usne banalia sabko hai apna
Uski mummy ka naam sapna

Daddy uske amit
Vyapar mein Karte sabko bhramit

Dikhe woh to cute
Tarif karu tu na kar muje mute

Usko mile khushi
Bas yuhi bani rahi uski hasi

Evergreen childhood

umar jab ho pachpan
yaad aaye bachpan
sundar si woh hasi
jisme maa meri fasi
khate the chocolate meethi
na kehte usko ho jo  sabji tikhi
the bahot zindagi mein rang
hote the tv dekhne mein dangh
khelte the poora ravivar
nahi chahiye tha wo somwar
mann tha innocent
vichar the decent
nahi aaata tha gussa
yaad nahi koi kissa
teacher se lagta tha darr
gullak ko papa  dete bhar
Sunn bhagwan sunn
Ho gaya bachpan gum
Kaash yeh aisa hi reh jata
Ye bachpan dusroin ko hasata

Poem # Maa meri sabse pyari

Poem # Maa meri sabse pyari

Maa meri sabse pyari
Saare jagat se tu hai nyari

Tune muje sikhaya chalna
Tune muje sikhaya khelna

Jab main thi rooti(crying)
Tu khilati thi muje roti(chapati)

Tu mere liye hai jiye
Tune mere aasoo hai peeye

Tu mera hai bhagwan
Pake tuje main hu bhagyawan

Maaf kr ab tu muje
Dukh nahi dunga aur koi tujhe

Thursday 5 September 2013

Desh mera Hindustaan....

Desh mera Hindustaan....


Pyara desh mera hindustan
dil mein mere uska sthaan
yaha bahut hain deshbhakt
sina jinka hain bahut sakt

mitti iski hain deti sona
Raksha karein pahadoin ki sena
hindmahasagar iske neeche
pade angrez iske peeche
satyagraha se raah unki adai
Aazadi ki veeroin ne ki ladai

hua jab desh ek se do
jane kaha khushi gayi kho
padosi nahi maante ab bhai
rehte yaha hindu muslim sikh isai

Duniya deti iski misaal
Sanskruti yaha ki hain vishal
Bhinn yaha hain dharm
aadhar  jinka hain karm
Dete seekh mein hain sacchai
Logo k dilme bahut acchai
Lado nahi  deta yeh aadesh
Shanti ka deta yeh sandesh

Pyara desh mera hindustan
dil mein mere uska sthaan!!!!